SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySaifuddin Saif(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hasin raaton jamil taaron ki yaad si rah gai hai baaqi kuchh apni ujDi hui bahaaron ki yaad si rah gai hai baaqi har ek mahfil paDi hai suuni tamaam mele bichhaD chuke hain sitamgaron ki sitam-shiaaron ki yaad si rah gai hai baaqi gham-e-vafaa kahne sunne vaale kahaan gae ahl-e-dil na jaane tumhaari ulfat ke raaz-daaron ki yaad si rah gai hai baaqi vo shaam se aarzu sahar ki vo be-kali raat raat bhar ki un aashnaa aashnaa sitaaron ki yaad si rah gai hai baaqi udhar bhi ahd-e-vafaa ke TukDe khaTak ke pahlu mein so chuke hain yahaan bhi TuuTe hue sahaaron ki yaad si rah gai hai baaqi gilaa nahin 'saif' be-kasi kaa kisi kaa gham kaun puchhtaa hai yahi bahut hai ki gham-gusaaron ki yaad si rah gai hai baaqi"
Saifuddin SaifSaifuddin Saif
Quote
"vafaa anjaam hoti jaa rahi hai mohabbat khaam hoti jaa rahi hai zaraa chehre se zulfon ko haTaa lo ye kaisi shaam hoti jaa rahi hai qayaamat hai mohabbat rafta-rafta gham-e-ayyaam hoti jaa rahi hai sunaa hai ab tire lutf-o-karam ki hikaayat aam hoti jaa rahi hai dikhaane ko zaraa aankhein badal lo vafaa ilzaam hoti jaa rahi hai mire jazb-e-vafaa se khaamushi bhi tiraa paighaam hoti jaa rahi hai koi karvaT badal ai dard-e-hasti tamannaa daam hoti jaa rahi hai mohabbat 'saif' ik lutf-e-nihaan thi magar badnaam hoti jaa rahi hai"
Saifuddin SaifSaifuddin Saif