SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySaqib Lakhnavi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage aaiye haal-e-dil-e-majruh suniye dekhiye kyaa kahaa zakhmon ne kyuun Taanke sadaa dene lage kis nazar se aap ne dekhaa dil-e-majruh ko zakhm jo kuchh bhar chale the phir havaa dene lage sunne vaale ro diye sun kar mariz-e-gham kaa haal dekhne vaale taras khaa kar duaa dene lage juz zamin-e-ku-e-jaanaan kuchh nahin pesh-e-nigaah jis kaa darvaaza nazar aayaa sadaa dene lage baaghbaan ne aag di jab aashiyaane ko mire jin pe takiya thaa vahi patte havaa dene lage muTThiyon mein khaak le kar dost aae vaqt-e-dafn zindagi bhar ki mohabbat kaa silaa dene lage aaina ho jaae meraa ishq un ke husn kaa kyaa maza ho dard agar khud hi davaa dene lage sina-e-sozaan mein 'saaqib' ghuT rahaa hai vo dhuaan uf karun to aag duniyaa ki havaa dene lage"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"dil ke hote bhi kahin dard judaa hotaa hai ik faqat maut ke aa jaane se kyaa hotaa hai zulm se zikr-e-vafaa aur sivaa hotaa hai un ki har ek buraai mein bhalaa hotaa hai shohdaa nemat-e-duniyaa ki talab bhuul gae khuun ke ghunT mein aisaa hi mazaa hotaa hai khud-faraamoshi-e-ulfat hai ilaaj-e-gham-e-dahr be-khabar hosh mein aanaa hi buraa hotaa hai imtihaan-gaah tiri mahfil-e-dilkash hai magar main bhi dekhun ki koi dil ke sivaa hotaa hai tum se kahtaa huun miraa khuun mire dil pe sahi rasm-e-duniyaa hai ki apnon se gilaa hotaa hai bazm se uTh to chalaa main ki mahal thaa lekin rone vaalon se bhalaa koi khafaa hotaa hai dekh hi lete hain sab naaz-o-adaa ki surat aaina aap kaa naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai naala-e-dil ke asar kaa na karo mujh se gila mujh ko kyaa ilm ki kis tarah rasaa hotaa hai tauba tauba hai yahi ishq ki baatil nazari sang but-khaane mein aate hi khudaa hotaa hai kyaa sabab kuchh tujhe maalum hai ai abr-e-bahaar dil ke murjhaane se kyuun zakhm haraa hotaa hai vo kahein yaa na kahein main huun asar se vaaqif bol uThtaa hai vo naala jo rasaa hotaa hai raushni din ki abhi hai ki hain khoe hue hosh dekhnaa hai shab-e-taarik mein kyaa hotaa hai hijr ke dard ko baDhne de ki hai muzhda-e-vasl vahi ghaTtaa hai jahaan mein jo sivaa hotaa hai bad-nasibi ho to har khuub ki khubi hai fuzul subh kaa vaqt sitaaron ko buraa hotaa hai dil to dil sar bhi kabhi hotaa hai mamnun-e-firaaq jis mein hai ishq ye saudaa vo judaa hotaa hai mire raazi ba-razaa hone se sab raazi hain varna jo hai vo shikaayat se khafaa hotaa hai avvalin marhala-e-ishq hai jab hasrat-o-maut koi batlaae ki phir baad mein kyaa hotaa hai bim-o-ummid se kis tarah nikal jaaun ki dil na Thahartaa hai jahaan mein na fanaa hotaa hai muntazir nazaa mein chup hai to use chup na samajh dam kaa ruk ruk ke nikalnaa bhi gilaa hotaa hai shab-e-taarik mein niklaa to hai dekhun 'saaqib' naa-rasaa rahtaa hai naala ki rasaa hotaa hai"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"tamaam-umr ki ghaflat ke baad khvaab aayaa uThaa jo parda-e-hasti mujhe hijaab aayaa ajal-nasib thaa shaam-e-visaal khvaab aayaa vo be-hijaab hue to mujhe hijaab aayaa balaa hai ahd-e-javaani se khush na ho ai dil sambhal ki umr ki duniyaa mein inqalaab aayaa baDhaae hausle dariyaa-dili ne saaqi ki zaraa se jaam mein sau baar aaftaab aayaa koi sadaa nahin aati ki kaun hai kyaa hai kahaan bhaTak ke dil-e-khaanumaan-kharaab aayaa ummid-o-bim mein rakkhaa tamaam raat mujhe kabhi naqaab uThaai kabhi hijaab aayaa zamaane vaalon ko pahchaanne diyaa na kabhi badal badal ke libaas apne inqalaab aayaa sivaae yaas na kuchh gumbad-e-falak se milaa sadaa bhi di to palaT kar vahi javaab aayaa uDaa ke hosh huaa ho gai tajalli-e-tur sabhon se aankh churaataa huaa hijaab aayaa harif-e-mai nahin samjhaa to kyuun miri jaanib lahu ke ghunT piye saaghar-e-sharaab aayaa haTe na apni tabiat se husn-o-ishq kabhi hazaar baar zamaane mein inqalaab aayaa sunaain kyaa tumhein nairang-e-ishq kaa qissa tamaam-umr na aankhein khulin na khvaab aayaa khaTak vo dil mein hi paidaa jo aaj tak na hui samajh rahaa huun ki tifli gai shabaab aayaa kafan pinhaa diyaa 'saaqib' sanam-parasti ne khudaa ke saamne jaate hue hijaab aayaa"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"main vo huun jis kaa zamaane ne sabaq yaad kiyaa gham ne shaagird kiyaa phir mujhe ustaad kiyaa husn-e-jaan-soz ne vahdat mein mujhe yaad kiyaa main ye samjhaa ki mujhe ishq ne barbaad kiyaa nahin maalum vo main huun ki koi aur asiir sun rahaa huun ki giraftaar ko aazaad kiyaa jis jagah khaai thi Thokar vahin turbat thi miri bhulne vaale ne mushkil se mujhe yaad kiyaa meri aahon ki havaaon mein na aa jaanaa tum ye vahi hain ki jinhon ne mujhe barbaad kiyaa khaana-e-qabr ajab chiiz hai lekin main ne itne TukDe ko bhi ik umr mein aabaad kiyaa yaas-o-ummid ke maabain hui khatm hayaat ek ne shaad kiyaa ek ne naashaad kiyaa tujh ko sab dete hain aavaaz vo apne hon ki ghair is taraf main ne moazzin ne udhar yaad kiyaa main thaa ik khaak ki chuTki to uDaa jaataa huun khaak kaa vo bhi hai zarra jise sayyaad kiyaa kis se luun daad-e-vafaa kis ko dikhaaun ye jafaa vo to parde mein hai jis ne mujhe ijaad kiyaa ishq mein apne hi haathon se huaa do TukDe dil-e-naakaam ne kaar-e-sar-e-farhaad kiyaa naa-tavaani mein gire the jo lahu ke qatre main to bhulaa huaa thaa dil ne bahut yaad kiyaa ashk aankhon se gire khuun ragon mein jo na thaa main ne aakhir adab-e-nashtar-e-fassaad kiyaa zarre zarre se miri khaak ye deti hai sadaa rahe aabaad vo jis ne mujhe barbaad kiyaa ek sannaaTaa saa aalam mein thaa lekin main ne fath baab-e-asar-e-naala-o-faryaad kiyaa jitne shikve hain tujhi se hain ki is aalam mein mujh ko bulbul kiyaa sayyaad ko sayyaad kiyaa raasta chalne ke qaabil na rahaa ai hamdam main ne manzil pe nayaa marhala ijaad kiyaa main to chyunTi ke kuchalne se hazar rakhtaa thaa phir mujhe kis ne tah-e-zaanu-e-jallaad kiyaa itnaa zinda rahe ham jis se khulin maani-e-maut subh-e-ijaad mein qasd-e-adam aabaad kiyaa bu nikalne lagi ghunchon se to phir Dar kis kaa ye khabar sach hai to sayyaad ne aazaad kiyaa qabl-az-vaqt phansaa daam mein aur phanste hi jo tamannaa yahaan laai thi use yaad kiyaa aalam-e-husn hai vo naqsh-e-maaani 'saaqib' jo miri tab-e-khudaa-daad ne ijaad kiyaa"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"main ro rahaa huun jo dil ko to bekasi ke liye vagar na maut to duniyaa mein hai sabhi ke liye shab-e-firaaq ki rozaana aafatein tauba ye imtihaan to hotaa kabhi kabhi ke liye bahut si umr miTaa kar jise banaayaa thaa makaan vo jal gayaa thoDi si raushni ke liye vasia bazm-e-jahaan hai to ho mujhe kyaa kaam jagah mili na miri hasrat-dili ke liye ye aur daaman-e-qaatil hai chhuT jaaegaa lahu mein josh to barson se thaa isi ke liye na aankh band karun main to kyaa karun yaarab vo aa rahe hain tamaashaa-e-jaan-kani ke liye bulaa ke mujh ko nikaalaa hai apni mahfil se vo nekiyaan nahin achchhi hain jo ho badi ke liye qafas mein aaj tamaashaa-e-gham hai qaabil-e-did taDap rahaa huun main sayyaad ki khushi ke liye tamaam ho gae ham ik nigaah-e-qaatil se ragein gale ki taDapti rahin chhuri ke liye farogh-e-husn baDhaa dil ki be-navaai se faqir ho gayaa shaan-e-tavangari ke liye qafas mein chup na hon to kyaa karun ki ye qaidi na dosti ke liye hai na dushmani ke liye tamaam bazm mein chhaayaa huaa hai sannaaTaa chhuDaa thaa qissa-e-dil un ki dil-lagi ke liye shikaayat-e-chaman-e-dahr kyaa karun 'saaqib' havaa khilaaf hai lekin kisi kisi ke liye"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"ek ek ghaDi us ki qayaamat ki ghaDi hai jo hijr mein taDpaae vahi raat baDi hai ye zoaf kaa aalam hai ki taqdir kaa likhaa bistar pe huun main yaa koi tasvir paDi hai betaabi-e-dil kaa hai vo dilchasp tamaashaa jab dekho shab-e-hijr mire dar pe khaDi hai dekhaa to zamaana gila-e-hijr se kam thaa samjhaa thaa ki furqat se shab-e-vasl baDi hai rone se hayaa shama ki zaahir ho to kyuun kar uryaan hai magar beach mein mahfil ke khaDi hai ab tak mujhe kuchh aur dikhaai nahin detaa kyaa jaaniye kis aankh se ye aankh laDi hai mar jaaun jo main vaadi-e-ulfat mein ajab kyaa maqsad hai miraa sakht to manzil bhi kaDi hai kab aaoge vaqt aa gayaa duniyaa se safar kaa vaqfa hai koi dam kaa na saaat na ghaDi hai kad hai vo mujhe kuuch mein aane nahin dete apnaa hai khayaal un ko mujhe dil ki paDi hai himmat ko nazar paa nahin sakti kisi surat dil koi baDaa hai jo koi aankh baDi hai ai hashr numaainda-e-raftaar Thahar jaa us zulf ke sadqe jo tiri paanv paDi hai taDpaa diyaa dil gundh ke gesu shab-e-vaslat main jaantaa thaa piiTh pe phulon ki chhaDi hai baalaa-e-jabin khuun jab aayaa to araq kyaa ai jalva-gah-e-husn tiri dhuup kaDi hai aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai aaraaish-e-gesu ko hasin maang rahe hain 'saaqib' ki ghazal kyaa koi moti ki laDi hai"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"kahaan tak jafaa husn vaalon ki sahte javaani jo rahti to phir ham na rahte lahu thaa tamannaa kaa aansu nahin the bahaae na jaate to hargiz na bahte vafaa bhi na hotaa to achchhaa thaa vaada ghaDi do ghaDi to kabhi shaad rahte hujum-e-tamannaa se ghuTte the dil mein jo main roktaa bhi to naale na rahte main jaagungaa kab tak vo soein ge taa-kai kabhi chikh uTThungaa gham sahte sahte bataate hain aansu ki ab dil nahin hai jo paani na hotaa to dariyaa na bahte zamaana baDe shauq se sun rahaa thaa hamin so gae daastaan kahte kahte koi naqsh aur koi divaar samjhaa zamaana huaa mujh ko chup rahte rahte miri naav is gham ke dariyaa mein 'saaqib' kinaare pe aa hi lagi bahte bahte"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"haTe ye aaina mahfil se aur tu aae koi to ho jo kabhi dil ke ru-ba-ru aae mire lahu se agar ho ke surkh-ru aae malo to barg-e-hinaa mein vafaa ki bu aae vo aansuon ki safaai se bad-gumaan hain abas dil-o-jigar mein rahaa kyaa hai jo lahu aae shab-e-visaal bhi taa-subh mutmain na rahaa abhi thi raat ki paighaam-e-aarzu aae bayaan-e-barq-e-tajalli chhuDaa hai ab sar-e-tur ajab nahin mire dil ki bhi guftugu aae visaal-o-hijr mein chhuptaa hai dil kaa haal kahin bujhe to pyaas sivaa ho jale to bu aae jo mai ke dene mein pir-e-mughaan ko thaa inkaar dilon ko toDne kyuun shisha-o-subu aae ajab hai utre dam-e-zabh un ki aankh mein khuun kaTin kahaan ki ragein aur kahaan lahu aae kiyaa savaal to us dar se ye sadaa aai use javaab hai jo le ke aarzu aae jahaan mein hain subuk-baar kab shagufta-mizaaj chaman ke phuul liye baar-e-rang-o-bu aae miri zabaan ko kaanTaa samajhtaa hai sayyaad nikaal le ki na ye ho na guftugu aae jhaTak rahi hai miraa khuun apne daaman se tumhaari tegh hai phir kyaa vafaa ki bu aae madad de itni taDapne mein inqilaab-e-jahaan jo mere dil mein nihaan hai vo ru-ba-ru aae baDhaa baDhaa ke miraa dil lagaaiye talvaar jagah jafaa ki sivaa ho agar numu aae"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"ek maqtul-e-jafaa do zulm ke qaabil na thaa varna dil kaa maarnaa aasaan thaa mushkil na thaa shauq-e-aazaadi mein taDpun us pe raazi dil na thaa varna betaabi salaamat chhuTnaa mushkil na thaa hashr mein vo sar jhukaae hain main shikva kyaa karun jaane vaali jaan thi meraa koi qaatil na thaa ab sulaimaani kise kahte hain batlaa de mujhe ek 'aalam thaa tiri muTThi mein meraa dil na thaa de sadaa ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar aise bhi dar hain kabhi jin par koi saail na thaa khaas vaqt-e-yaad-e-gulshan aur meraa chheDnaa shab ko bhi sayyaad mere zabh se ghaafil na thaa subh shaam-e-gham ne daaman bhar ke bhejaa dahr se varna is umr-e-do-roza kaa koi haasil na thaa us ki qudrat naa-tavaanon ko bhi detaa hai 'uruj aasmaan se sar chaDhe naala to is qaabil na thaa tere naqshe ne bhi furqat mein na bahlaayaa mujhe shaam-e-gham jab aai gurdon par har kaamil na thaa dekh lete do qadam chal kar ki matlab thaa yahi dar pe jo aayaa thaa vo bimaar thaa saail na thaa qalb-e-sozaan aur hi dhokaa na khaanaa dahr mein rah gayaa jo aag de kar sang thaa vo dil na thaa kuchh sambhal jaataa agar karvaT badal jaate miri ye mujhe dushvaar thaa un ke liye mushkil na thaa Dubtaa thaa dil shab-e-vasl aa chuki thi taa-sahar ek tinke kaa sahaaraa bhi lab-e-saahil na thaa is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr mein kaun saa din thaa ki main aavaara-e-manzil na thaa ek jalti sham' uThvaa di bahut achchhaa kiyaa sokhta-dil thaa main koi raunaq-e-mahfil na thaa shaam-e-gham jis mein rahe barson vahaan kyaa 'iid ho vo to aa jaae magar ye dil hi is qaabil na thaa juz fareb-e-husn aur ulfat ko 'saaqib' kyaa kahun zindagi se shai kabhi us par bhi dil maail na thaa"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"ro rahaa thaa main bhari barsaat thi haal kyaa khultaa andheri raat thi mere naalon se hai barham baaghbaan ye khafaa hone ki koi baat thi din nahin dekhaa sivaa-e-shaam-e-hijr zindagi-bhar mein yahi ik raat thi naala-o-aah-o-fughaan se baDh gai varna ulfat ik zaraa si baat thi hashr tak laayaa jahaan se dard-e-dil kis ko detaa kyaa koi saughaat thi band kiin aankhein ki dekhun khvaab-e-subh khol kar jab aankh dekhaa raat thi ai sabaa ghunchon ne hans kar kyaa kahaa un kaa qissa thaa ki meri baat thi allaah allaah vahdat-e-shaam-e-firaaq ek meri ek us ki zaat thi aap hi gin dein masaaib hijr ke yuun to kahne ke liye ik raat thi hichkiyon se raaz-e-ulfat khul gayaa aa gai munh par jo dil mein baat thi sham-e-marqad tujh se shikva hai mujhe mere ghar mein bhi andheri raat thi kuchh na kuchh 'saaqib' ne paidaa kar liyaa ye zamin to dushman-e-abyaat thi"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"ahl-e-gham se ishrat-e-aalam kaa saamaan ho gayaa jab zamin ki daagh ubhar aae gulistaan ho gayaa apni had se baDh ke jaataa kis taraf ko dil miraa jaan paDte hi ye musht-e-khaak be-jaan ho gayaa ishq ke baad ab havaadis ki zarurat kyaa rahi aasmaan dam le mire marne kaa saamaan ho gayaa hashr mein pahchaan kar qaatil kaa munh takne lagaa jab zarurat hosh ki dekhi to hairaan ho gayaa khuftagaan-e-khaak kitnaa be-mahal soe ki ab majma-e-ahbaab ik khvaab-e-pareshaan ho gayaa inqalaab aa kar madad dete hain istedaad ko karvaTein badlein lahu ne aur insaan ho gayaa raasta vahshat ko aakhir mil gayaa tangi mein bhi ye garebaan thaa jo do haathon mein daamaan ho gayaa vusat-e-sahn-e-jahaan kuchh kam na thi ai ishq dost kyuun ghaTaa itnaa ki dil vaalon ko zindaan ho gayaa baaghbaan ki raae mein main be-haqiqat thaa magar baad mere aashiyaan daagh-e-gulistaan ho gayaa ruk chalaa hai beach mein khanjar ilaahi khair ho dam na niklegaa agar qaatil pashemaan ho gayaa ek qatra bahr-e-isyaan kaa thaa jo yuun sar chaDhaa palte palte daaman-e-aalam mein tufaan ho gayaa jab koi aansu mizha par aa ke chamkaa shaam-e-gham main ye samjhaa subh kaa taaraa numaayaan ho gayaa shukr shaane kaa karun yaa sabr ko DhunDun kahin zulf to simTi magar haan dil pareshaan ho gayaa kam se kam par aaj raazi hain shahidon ke mazaar aap hans deinge to samjheinge charaaghaan ho gayaa jis mein laakhon phuul the 'saaqib' vo baagh-e-dil-kushaa ek hi gardish mein gardun ki bayaabaan ho gayaa"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi
Quote
"un ki aaraaish se mere kaam ban jaaeinge kyaa dil ki gutthi shaana-haa-e-zulf suljhaaeinge kyaa vasl ke vaa'de se khush ho kar na mar jaaeinge kyaa naama-bar hanstaa huaa aataa hai khud aaeinge kyaa qaidi-e-gham turbaton mein aur un ko ye khayaal kaaTne mein ik shab-e-furqat ke mar jaaeinge kyaa kaam apnaa kar chuke ahl-e-vafaa shak hai to ho sar nahin baaqi shahidon ke qasam khaaeinge kyaa arz-e-matlab ke liye ai dil zabaan khulti nahin kuchh ishaare main karungaa vo samajh jaaeinge kyaa haath idhar uThtaa nahin hai taar udhar baaqi nahin deinge vo kyaa aur ham daaman ko phailaaeinge kyaa qissa-e-farhaad-o-majnun kyuun sunaate ho hamein jab pareshaani se matlab hai to ghabraaein kyaa mehmaan-e-ku-e-jaanaan ho ke dil betaab hai main to samjhaataa nahin vo bhi na samjhaaeinge kyaa mast rahte hain hamesha mai-faroshaan-e-jamaal ham to maangeinge koi saaghar vo farmaaeinge kyaa kyuun na chup baiThun qafas mein duur hi fasl-e-bahaar aah-o-zaari se miri mausam badal jaaeinge kyaa tinke tinke kaa khudaa-haafiz chale ham baagh se alvidaa' ai aashiyaan ab jaa ke phir aaeinge kyaa dil ki bimaari kaa 'uqda kholnaa dushvaar hai jo nahin samjhe vo 'saaqib' mujh ko samjhaaeinge kyaa"
Saqib LakhnaviSaqib Lakhnavi