SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySarmad Sahbai(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kaun hai kis ne pukaaraa hai sadaa kaise hui ye kiran taariki-e-shab se rihaa kaise hui ek ik pal mein utar kar sochtaa rahtaa huun main nuur kis kaa hai mire khuun mein ziyaa kaise hui khvaahishein aaein kahaan se kyuun uchhaltaa hai lahu rut hari kyunkar hui paagal havaa kaise hui us ke jaane kaa yaqin to hai magar uljhan mein huun phuul ke haathon se ye khush-bu judaa kaise hui vo machaa hai ghul ki barham ho gai hain suratein kaun kis kis se ye puchhegaa khataa kaise hui jism o jaan kaa faasla hai haasil-e-gard-e-safar justuju-e-zindagi teraa pataa kaise hui hans diyaa thaa sun ke vo 'sarmad' bas itnaa yaad hai baat us ke saamne lekin adaa kaise hui"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai
Quote
"raushni rangon mein simTaa huaa dhokaa hi na ho main jise jism samajhtaa huun vo saayaa hi na ho aaina TuuT gayaa chuntaa huun reza reza isi aaine mein meraa kahin chehraa hi na ho main to divaar ke is paar ravaan huun kab se koi divaar ke us paar bhi chaltaa hi na ho vo jo suntaa hai miri baat baDe ghaur ke saath baad jaane ke mire mujh pe vo hanstaa hi na ho jaagti aankhon mein kyuun phailtaa jaataa hai khalaa khaa gai hai jise duuri tiraa rasta hi na ho moD har raah pe paanv se lipaT jaate hain vo mujhe chhoD ke chal de kahin aisaa hi na ho us ke milne pe bhi mahsus huaa hai 'sarmad' us ne dekhaa hi na ho main ne bulaayaa hi na ho"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai
Quote
"kis shakhs ki talaash mein sar phoDti rahi sunsaan jangalon mein havaa chikhti rahi maathe pe dhuul haath mein kaanTe liye hayaat sahraa se khushbuon kaa pata puchhti rahi dil bujh gayaa to raat ki surat thi zindagi jab tak ye ik charaagh rahaa raushni rahi main aaj bhi na us se koi baat kar sakaa lafzon ke pattharon mein tamannaa dabi rahi sunsaan raaston pe bhaTakti thi chaandni shab bhar na jaane kis ke liye jaagti rahi vo peD jo haraa thaa bahaaron ke baad bhi hairat se us ko zard havaa dekhti rahi suraj na koi meri gali mein utar sakaa shab bhar mire makaan ki khiDki khuli rahi"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai
Quote
"sadaa-e-girya jo har shaam ghar se aati hai ye baazgasht hai divaar-o-dar se aati hai kabhi jo aaya nahin aur kabhi na aaegaa usi ki chaap har ik rah-guzar se aati hai kaDakti dhuup mein bhi dil ko ik tasalli hai na jaane chhaanv si ye kis shajar se aati hai jise bhi dekhein vo aaraaish-e-talab mein hai mataa'-e-be-talabi kis hunar se aati hai chamak damak hai vahi jagmagaate raston par phir itni tirgi yaa-rab kidhar se aati hai ye kaun log hain jo saath chal rahe hain mire ki bu-e-ghair mujhe ham-safar se aati hai shab-e-siyaah mein taara na hai charaagh koi jo raushni hai kisi chashm-e-tar se aati hai ye irti'aash-e-nafas hai ravish kitaabat ki jo raushnaai hai daagh-e-jigar se aati hai dikhaai deti hai tasvir-e-ghaib kab 'sarmad' nazar jo aati hai teri nazar se aati hai"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai
Quote
"dam junun ki had-e-intihaa pe Thahraa hai ye meraa dil hai abhi ibtidaa pe Thahraa hai usi ke lams se aab-o-havaa badalti hai tamaam manzar-e-jaan ik adaa pe Thahraa hai kanaar-e-kun se pare hai kahin vajud apnaa ye kaarvaan to ghubaar-e-sadaa pe Thahraa hai kuchh aur der numaaish hai shor-o-shar ki yahaan ye ik habaab hai mauj-e-fanaa pe Thahraa hai shuaa-e-subh bun-e-gosh mein utarti hai zavaal-e-mehr ki dast-e-hinaa pe Thahraa hai shab-e-siyaah sar-e-khaal mein simaTti hai sitaara TuuT ke band-e-qabaa pe Thahraa hai nafas nafas mein bhaDakti hai dil ki lau 'sarmad' ajab charaagh hai ye baam-e-hu pe Thahraa hai"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai
Quote
"aankhon se pare niind ki raftaar mein rahnaa har pal kisi naa-did ke didaar mein rahnaa kho jaanaa use dekh ke uryaan ke safar mein chhute hi use hajla-e-asraar mein rahnaa ik khvaab-e-darida ko rag-e-harf se siinaa phir le ke use kucha-o-baazaar mein rahnaa khud apne ko hi dekh ke hairaan saa honaa nargis ki tarah mausam-e-bimaar mein rahnaa marnaa yunhi abresham-o-kam-khvaab-e-havas mein dam toD ke zinda kabhi divaar mein rahnaa hasrat si liye khilqat-e-maasum mein phirnaa saazish ki tarah gardish-e-darbaar mein rahnaa hai bakht sitaaron kaa un aankhon mein chamaknaa aur gul kaa muqaddar lab-o-rukhsaar mein rahnaa raunaq si liye shahr ke raston pe bikharnaa tanhaai ki surat dar-o-divaar mein rahnaa 'sarmad' tapish-e-naar-e-sukhan mein huun ki mujh ko gul kartaa rahaa shola-o-angaar mein rahnaa"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai
Quote
"ho laag darmiyaan to koi dil bhi tab lagaae baiThe raho umiid yunhi be-sabab lagaae jo qarz-e-hijr saunp gayaa 'umr ke 'evaz shart-e-visaal us se kahin be-talab lagaae kis jeb-e-ehtiyaat mein rakkhein mataa-e-dil baiThaa nahin kahaan pe vo rahzan naqab lagaae khultaa nahin hai uqda shab-e-intizaar kaa yaaron ne daav pech yahaan sab ke sab lagaae chaaron taraf hai aag magar darmiyaan-e-shahr baiThaa hai yaar majlis-e-jashn-e-tarab lagaae baazaar-e-'ishq sard paDaa nazr-e-jaan ke baa'd ab koi naqd-e-naam yaa naqd-e-nasab lagaae phirte hain le ke bint-e-fasaahat ko mirzaa apne taiin khudaa-e-sukhan kaa laqab lagaae is khvaancha-e-sukhan pe to 'sarmad' guzar nahin us se kahein hamein vo kisi aur Dhab lagaae"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai
Quote
"marne kaa pata de mire jiine kaa pata de ai be-khabari kuchh mire hone kaa pata de ik dusre ki aahaTon pe chalte hain sab log hai koi yahaan jo mujhe raste kaa pata de khud aap se bichhDaa huun main is andhe safar mein ai tirgi-e-shab mire saae kaa pata de is aas pe har aaine ko joD rahaa huun shaayad koi reza mire chehre kaa pata de guzri hai miri 'umr saraabon ke safar mein ai reg-e-ravaan ab kisi chashme kaa pata de har pal kisi aahaT pe mire kaan lage hain jaise abhi koi tire aane kaa pata de bikhraa huaa huun sadiyon ki be-ant tahon mein mujh ko koi khoe hue lamhe kaa pata de dahliz dilaasaa hai na divaar amaan hai ai dar-badari mere Thikaane kaa pata de huun qaid hisaar-e-rag-e-girdaab mein 'sarmad' koi nahin jo mujh ko kinaare kaa pata de"
Sarmad SahbaiSarmad Sahbai