Shayari
ye kyaa paDi hai tujhe dil jalon mein baiThne ki
ye umr to hai miyaan doston mein baiThne ki
huun baa-vafaa to miraa sar nahin jhukegaa kabhi
jo bevafaa huun to phir sharm se gaDaa milungaa
ہوں با وفا تو مرا سر نہیں جھکے گا کبھی
جو بے وفا ہوں تو پھر شرم سے گڑا ملوں گا
हूँ बा-वफ़ा तो मिरा सर नहीं झुकेगा कभी
जो बेवफ़ा हूँ तो फिर शर्म से गड़ा मिलूँगा

ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
de kar fareb mujh ko gayaa thaa vo shokh-tan
khaa kar fareb lauTaa to siine se lag gayaa
fareb-e-abr-e-karam bhi baDaa sahaaraa hai
balaa se nakhl-e-tamannaa khizaan-rasida nahin
dil vo kaafir hai ki mujh ko na diyaa chiin kabhi
bevafaa tu bhi use le ke pashemaan hogaa
bevafaai pe teri ji hai fidaa
qahr hotaa jo baa-vafaa hotaa
muddat se main safar mein huun vahm-o-gumaan ke saath
ye raasta tamaam fareb-e-nazar na ho