Shayari
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
bevafaai pe teri ji hai fidaa
qahr hotaa jo baa-vafaa hotaa
بے وفائی پہ تیری جی ہے فدا
قہر ہوتا جو باوفا ہوتا
bevafā.ī pe terī jī hai fidā
qahr hotā jo bā-vafā hotā

maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
ham be-khudaan-e-mahfil-e-tasvir ab gae
aainda ham se aap mein aayaa na jaaegaa
haath chaDh jaaiyo ai shaikh kisu ke na kabhu
launDe sab tere kharidaar hain maikhaane ke
vo kahte hain ye saari bevafaai hai mohabbat ki
na 'muztar' be-vafaa main huun na 'muztar' be-vafaa tum ho
tire aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai
ishq mein sachchaa thaa vo meri tarah
bevafaa to aazmaane se huaa
doston se dushmani aur dushmanon se dosti
be-muravvat bevafaa be-rahm ye kyaa Dhang hai
bos-o-kanaar ke liye ye sab fareb hain
izhaar-e-paak-baazi o zauq-e-nazar ghalat
mohabbat tu mat kar dil us bevafaa se
dil us bevafaa se mohabbat tu mat kar