Shayari
haTaa kar phuul kaanTe hi bichhaa do
hamein chalne mein diqqat ho rahi hai
ham jaison ko bas itni ijaazat hai mire dost
ham dekh hi sakte hain pasand aayaa huaa shakhs
ہم جیسوں کو بس اتنی اجازت ہے مرے دوست
ہم دیکھ ہی سکتے ہیں پسند آیا ہوا شخص
हम जैसों को बस इतनी इजाज़त है मिरे दोस्त
हम देख ही सकते हैं पसंद आया हुआ शख़्स

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maston mein phuuT paD gai aate hi yaar ke
laDtaa hai aaj shishe se shisha sharaab kaa
pyaar hi pyaar hai sab log baraabar hain yahaan
mai-kade mein koi chhoTaa na baDaa jaam uThaa
ye ajnabi si manzilein aur raftagaan ki yaad
tanhaaiyon kaa zahr hai aur ham hain dosto
ajnabi mujh se aa gale mil le
aaj ik dost yaad aae mujhe
aankhon mein uD rahi hai luTi mahfilon ki dhuul
ibrat-saraa-e-dahr hai aur ham hain dosto