Shayari
jalte dil ko raam kiyaa to yaad aayaa
ulTi cigarette raakh hui be-dhyaani mein
abr-e-bahaar baad-e-sabaa apni raah lein
majnun ko kaaenaat kisi kaam ki nahin
ابر بہار باد صبا اپنی راہ لیں
مجنوں کو کائنات کسی کام کی نہیں
अब्र-ए-बहार बाद-ए-सबा अपनी राह लें
मजनूँ को काएनात किसी काम की नहीं

pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
'saabir' teraa kalaam sunein kyuun na ahl-e-fan
bandish ajab hai aur ajab bol chaal hai
shagufta baagh-e-sukhan hai hamin se ai 'saabir'
jahaan mein misl-e-nasim-e-bahaar ham bhi hain
tum ne kyuun dil mein jagah di hai buton ko 'saabir'
tum ne kyuun kaaba ko but-khaana banaa rakkhaa hai
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa
baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa