Shayari
abr-e-bahaar baad-e-sabaa apni raah lein
majnun ko kaaenaat kisi kaam ki nahin
jalte dil ko raam kiyaa to yaad aayaa
ulTi cigarette raakh hui be-dhyaani mein
جلتے دل کو رام کیا تو یاد آیا
الٹی سگریٹ راکھ ہوئی بے دھیانی میں
जलते दिल को राम किया तो याद आया
उल्टी सिगरेट राख हुई बे-ध्यानी में

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
khudaa raa bahr-e-istiqbaal jald ai jaan baahar aa
ayaadat ko miri jaan-e-jahaan tashrif laate hain
jab bhi main ne khol kar dekhi hai yaadon ki kitaab
yunhi safhon par taDapte mil gae kuchh vaaqiaat
suluk rakhtaa hai mujh se munaafiqon jaisaa
tamaam shahr mein jo mo'atabar ziyaada hai
un ki ammi ho chalin thiin rafta rafta ham-khayaal
haan magar abbaa kaa un ke varghalaanaa yaad hai
aate hain yaad mujh ko vo aazaadiyon ke din
hotaa thaa main bhi ek kunvaara ki haae haae