Shayari
phir ik nae safar pe chalaa huun makaan se
koi pukaartaa hai mujhe aasmaan se
aavaaz de rahaa hai akelaa khudaa mujhe
main us ko sun rahaa huun havaaon ke kaan se
آواز دے رہا ہے اکیلا خدا مجھے
میں اس کو سن رہا ہوں ہواؤں کے کان سے
आवाज़ दे रहा है अकेला ख़ुदा मुझे
मैं उस को सुन रहा हूँ हवाओं के कान से

phir ik nae safar pe chalaa huun makaan se
koi pukaartaa hai mujhe aasmaan se
vo so rahaa hai khudaa duur aasmaanon mein
farishte loriyaan gaate hain us ke kaanon mein
main teri chaah mein jhuTaa havas mein sachchaa huun
buraa samajh le magar dusron se achchhaa huun
vo ajnabi tiri baanhon mein jo rahaa shab bhar
kise khabar ki vo din bhar kahaan rahaa hogaa
paan ke Thele hotel logon kaa jamghaT
apne tanhaa hone kaa ehsaas bhi kyaa
main bhi taalaab kaa Thahraa huaa paani thaa kabhi
ek patthar ne ravaan dhaar kiyaa hai mujh ko
chalaa hai chhoD ke tanhaa kidhar tasavvur-e-yaar
shab-e-firaaq mein thaa tujh se mashghala dil kaa
ik khilaunaa jogi se kho gayaa thaa bachpan mein
DhunDhtaa phiraa us ko vo nagar nagar tanhaa
tum baiThe ho lekin jaate dekh rahaa huun
main tanhaai ke din aate dekh rahaa huun
ye kis maqaam pe laai hai meri tanhaai
ki mujh se aaj koi bad-gumaan nahin hotaa
jis ko is fasl mein honaa hai baraabar kaa sharik
mere ehsaas mein tanhaaiyaan kyuun botaa hai
mujh ko thi mahfilon ki bahut aarzu magar
tanhaaiyon ke khauf se tanhaa rahaa huun main