Shayari
phir ik nae safar pe chalaa huun makaan se
koi pukaartaa hai mujhe aasmaan se
vo ajnabi tiri baanhon mein jo rahaa shab bhar
kise khabar ki vo din bhar kahaan rahaa hogaa
وہ اجنبی تری بانہوں میں جو رہا شب بھر
کسے خبر کہ وہ دن بھر کہاں رہا ہوگا
वो अजनबी तिरी बाँहों में जो रहा शब भर
किसे ख़बर कि वो दिन भर कहाँ रहा होगा

phir ik nae safar pe chalaa huun makaan se
koi pukaartaa hai mujhe aasmaan se
vo so rahaa hai khudaa duur aasmaanon mein
farishte loriyaan gaate hain us ke kaanon mein
main teri chaah mein jhuTaa havas mein sachchaa huun
buraa samajh le magar dusron se achchhaa huun
aavaaz de rahaa hai akelaa khudaa mujhe
main us ko sun rahaa huun havaaon ke kaan se
paan ke Thele hotel logon kaa jamghaT
apne tanhaa hone kaa ehsaas bhi kyaa
main bhi taalaab kaa Thahraa huaa paani thaa kabhi
ek patthar ne ravaan dhaar kiyaa hai mujh ko
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
viraan to nahin shab-e-taarik ki fazaa
har-su havaa-e-baada se kuchh raushni to hai
ham rone pe aa jaaein to dariyaa hi bahaa dein
shabnam ki tarah se hamein ronaa nahin aataa