Shayari
is e'tibaar pe kaaTi hai ham ne umr-e-aziz
sahar kaa vaqt ujaale bhi saath laaegaa
main baarishon mein bahut bhigtaa rahaa 'aabid'
sulagti dhuup mein ik chhat bahut zaruri hai
میں بارشوں میں بہت بھیگتا رہا عابدؔ
سلگتی دھوپ میں اک چھت بہت ضروری ہے
मैं बारिशों में बहुत भीगता रहा 'आबिद'
सुलगती धूप में इक छत बहुत ज़रूरी है

is e'tibaar pe kaaTi hai ham ne umr-e-aziz
sahar kaa vaqt ujaale bhi saath laaegaa
ham faqiron kaa pairahan hai dhuup
aur ye raat apni chaadar hai
yazid-e-vaqt ne ab ke lagaai hai qadghan
ki bhuul kar bhi na gaae koi taraana-e-ishq
ab qafas aur gulistaan mein koi farq nahin
ham ko khushbu ki talab hai ye sabaa jaanti hai
sab apne apne tariqe se bhiik maangte hain
koi ba-naam-e-mohabbat koi ba-jaama-e-ishq
sar par gire makaan kaa malba hi rakh liyaa
duniyaa ke qimti sar-o-saamaan se gae
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
mehraab-e-aabru-e-but-e-kaafir-adaa ko dekh
kaaba kaa shaikh baandh ke ehraam rah gayaa
ham se puchho mizaaj baarish kaa
ham jo kachche makaan vaale hain
baadal ke ek TukDe mein kyon dab gai tapish
suraj hazaar darja jalaali banaa rahaa
sharm se pahle to vo kuchh bhi na bolin ham se
phir hui baaton ki barsaat tumhein kyaa maa'lum