Shayari
zindagi se bahut der tak
zindagi par hi chiq chiq hui
baadal ke ek TukDe mein kyon dab gai tapish
suraj hazaar darja jalaali banaa rahaa
بادل کے ایک ٹکڑے میں کیوں دب گئی تپش
سورج ہزار درجہ جلالی بنا رہا
बादल के एक टुकड़े में क्यों दब गई तपिश
सूरज हज़ार दर्जा जलाली बना रहा

zindagi se bahut der tak
zindagi par hi chiq chiq hui
meri fikr nahin hai tujh ko apni fikr to karni hogi
teraa naam bhi mailaa hogaa meri bhi rusvaai mein
du’aa-e-dast-e-fazilat se sar ki raunaq hai
hamaare ghar ke buzurgon se ghar ki raunaq hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
hai aks-e-aaina dil mein kisi bilqis-e-saani kaa
tasavvur hai miraa ustaad bahzaad aur maani kaa
taa ki angur hare hon mire zakhm-e-dil ke
dhaani angiyaa mire dildaar ne rangvaai hai
ai sakht-gir aandhi itnaa khayaal rakhnaa
ik dil bhi jal rahaa hai is baam par hamaaraa