Shayari
jaltaa hai ab talak tiri zulfon ke rashk se
har-chand ho gayaa hai chaman kaa charaagh gul
namkin goyaa kabaab hain phike sharaab ke
bosaa hai tujh labaan kaa maze-daar chaTpaTaa
نمکیں گویا کباب ہیں پھیکے شراب کے
بوسا ہے تجھ لباں کا مزیدار چٹ پٹا
नमकीं गोया कबाब हैं फीके शराब के
बोसा है तुझ लबाँ का मज़े-दार चटपटा

jaltaa hai ab talak tiri zulfon ke rashk se
har-chand ho gayaa hai chaman kaa charaagh gul
gham siin ahl-e-bait ke ji to tiraa kuDhtaa nahin
yuun abas paDhtaa phiraa jo marsiya to kyaa huaa
kyaa sabab tere badan ke garm hone kaa sajan
aashiqon mein kaun jaltaa thaa gale kis ke lagaa
yuun 'aabru' banaave dil mein hazaar baatein
jab ru-ba-ru ho tere guftaar bhuul jaave
yaaro hamaaraa haal sajan siin bayaan karo
aisi tarah karo ki use mehrbaan karo
afsos hai ki bakht hamaaraa ulaT gayaa
aataa to thaa pe dekh ke ham kuun palaT gayaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kuchh daaere se ban gae sath-e-khayaal par
jab koi phuul saaghar-e-mai-nosh mein giraa
zarf-e-vazu hai jaam hai ik kham hai ik subu
ik boriyaa hai main huun miri khaanqaah hai
'ghaalib' chhuTi sharaab par ab bhi kabhi kabhi
piitaa huun roz-e-abr o shab-e-maahtaab mein
main aur bazm-e-mai se yuun tishna-kaam aauun
gar main ne ki thi tauba saaqi ko kyaa huaa thaa