Shayari
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtilaa nahin aai
hazaar kos nigaahon se dil ki manzil tak
koi qarib se dekhe to ham ko pahchaane
ہزار کوس نگاہوں سے دل کی منزل تک
کوئی قریب سے دیکھے تو ہم کو پہچانے
हज़ार कोस निगाहों से दिल की मंज़िल तक
कोई क़रीब से देखे तो हम को पहचाने

bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtilaa nahin aai
jis ki jaanib 'adaa' nazar na uThi
haal us kaa bhi mere haal saa thaa
dil ke viraane mein ghume to bhaTak jaaoge
raunaq-e-kucha-o-baazaar se aage na baDho
kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine
dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa
huaa yuun ki phir mujhe zindagi ne basar kiyaa
koi din the jab mujhe har nazaara hasin milaa
varna insaan mar gayaa hotaa
koi be-naam justuju hai abhi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
teri uljhi hui baaton se miraa dil uljhaa
tere bikhre hue baalon ne pareshaan kiyaa
dil un ko muft dene mein dushman ko rashk kyuun
ham apnaa maal dete hain is mein kisi kaa kyaa
khaal-o-aariz kaa tasavvur hai hamaare dil mein
ek hindu bhi hai kaabe mein musalmaan ke saath
nigaah-e-yaar mil jaati to ham shaagird ho jaate
zaraa ye siikh lete dil ke le lene kaa Dhab kyaa hai