Shayari
sahraa mein base sab divaane shahron mein bhi mahshar hai barpaa
allaah tiri is khilqat se baaqi na rahaa viraana tak
dil lagtaa hai baahar se jo bosida makaan saa
daakhil to kabhi ho ke ye qasr-e-adni dekh
دل لگتا ہے باہر سے جو بوسیدہ مکاں سا
داخل تو کبھی ہو کے یہ قصر ادنی دیکھ
दिल लगता है बाहर से जो बोसीदा मकाँ सा
दाख़िल तो कभी हो के ये क़स्र-ए-अदनी देख

sahraa mein base sab divaane shahron mein bhi mahshar hai barpaa
allaah tiri is khilqat se baaqi na rahaa viraana tak
is qadar naaz na kiije ki buzurgon ne bahut
baarhaa bazm-e-khud-aaraai sajaai hui hai
rah gayaa dard dil ke pahlu mein
ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui
kaisi hain aazmaaishein kaisaa ye imtihaan hai
mere junun ke vaaste hijr ki ek raat bas
is qadar Duube gunaah-e-ishq mein tere habib
sochte hain jaaeinge kis munh se tauba ki taraf
kuchh khud mein kashish paidaa kar lo ki mahfil tum se aankh bhare
ye chaal baDe ayyaar ki hai ye chaal na khaali jaaegi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aataa hai
mah-e-nau ki tarah khole hue aaghosh aataa hai
sharbat kaa ghunT jaan ke piitaa huun khun-e-dil
gham khaate khaate munh kaa maza tak bigaD gayaa
khudaa hi jaane 'yagaanaa' main kaun huun kyaa huun
khud apni zaat pe shak dil mein aae hain kyaa kyaa
kaaba nahin ki saari khudaai ko dakhl ho
dil mein sivaae yaar kisi kaa guzar nahin