Shayari
parda-e-hijr vahi hasti-e-mauhum thi 'yaas'
sach hai pahle nahin maalum thaa ye raaz mujhe
kaaba nahin ki saari khudaai ko dakhl ho
dil mein sivaae yaar kisi kaa guzar nahin
کعبہ نہیں کہ ساری خدائی کو دخل ہو
دل میں سوائے یار کسی کا گزر نہیں
का'बा नहीं कि सारी ख़ुदाई को दख़्ल हो
दिल में सिवाए यार किसी का गुज़र नहीं

parda-e-hijr vahi hasti-e-mauhum thi 'yaas'
sach hai pahle nahin maalum thaa ye raaz mujhe
jaras ne muzhda-e-manzil sunaa ke chaunkaayaa
nikal chalaa thaa dabe paanv kaarvaan apnaa
ajab kyaa hai ham aise garm-raftaaron ki Thokar se
zamaane ke buland-o-past kaa hamvaar ho jaanaa
vatan se kyaa ki havaa-e-vatan se hain bezaar
lipaT rahe jo bagulon se dasht-e-ghurbat ke
maut maangi thi khudaai to nahin maangi thi
le duaa kar chuke ab tark-e-duaa karte hain
nai zamin nayaa aasmaan nai duniyaa
ajiib shai ye tilism khayaal hotaa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe