Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
baDi mushkil se aa ke baiThaa huun
dard uThte hain mat uThaaein mujhe
بڑی مشکل سے آ کے بیٹھا ہوں
درد اٹھتے ہیں مت اٹھائیں مجھے
बड़ी मुश्किल से आ के बैठा हूँ
दर्द उठते हैं मत उठाएँ मुझे

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jis ne duniyaa bhar ke gham apnaae the
us ko duniyaa ne kahaa be-dard thaa
shaayad apnaa hi taaaqub hai mujhe sadiyon se
shaayad apnaa hi tasavvur liye jaataa hai mujhe
aansu tumhaari aankh mein aae to uTh gae
ham jab karam ki taab na laae to uTh gae