Shayari
aane vaali aa nahin chukti jaane vaali jaa bhi chuki
vaise to har jaane vaali raat thi aane vaali raat
A
Ataur Rahman Jameelaansu tumhaari aankh mein aae to uTh gae
ham jab karam ki taab na laae to uTh gae
آنسو تمہاری آنکھ میں آئے تو اٹھ گئے
ہم جب کرم کی تاب نہ لائے تو اٹھ گئے
आँसू तुम्हारी आँख में आए तो उठ गए
हम जब करम की ताब न लाए तो उठ गए
aane vaali aa nahin chukti jaane vaali jaa bhi chuki
vaise to har jaane vaali raat thi aane vaali raat
ye duniyaa hai yahaan har aabgina TuuT jaataa hai
kahin chhupte phiro aakhir zamaana DhunDh hi legaa
dil par barf ki sil rakh denaa naagan ban kar Das lenaa
apne liye donon hi baraabar kaali ho ki ujaali raat
un ko bhi 'jamil' apne muqaddar se gila hai
vo log jo sunte the ki chaalaak bahut hain
kuchh khvaab kuchh khayaal mein mastur ho gae
tum kyaa qarib nikle ki sab duur ho gae
tumhaari bazm se jab bhi uThe to haal-zada
kabhi javaab ke maare kabhi savaal-zada
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
jahaan-e-dard mein insaaniyat ke naate se
koi bayaan kare meri daastaan hogi
tufaan-e-gham ki tund havaaon ke baavajud
ik sham-e-aarzu hai jo ab tak bujhi nahin