Shayari
naa-rasaai ne ajab taur sikhaae hain 'ataa'
yaani bhule bhi nahin tum ko pukaaraa bhi nahin
ab yahaan kaun nikaalegaa bhalaa duudh ki nahr
ishq kartaa hai tu jaisaa bhi hai achchhaa hai miyaan
اب یہاں کون نکالے گا بھلا دودھ کی نہر
عشق کرتا ہے تو جیسا بھی ہے اچھا ہے میاں
अब यहाँ कौन निकालेगा भला दूध की नहर
इश्क़ करता है तू जैसा भी है अच्छा है मियाँ

naa-rasaai ne ajab taur sikhaae hain 'ataa'
yaani bhule bhi nahin tum ko pukaaraa bhi nahin
saDak pe baiTh gae dekhte hue duniyaa
aur aise tark hui ek khud-kushi ham se
vaisaa hi kharaab shakhs huun main
jaisaa koi chhoD kar gayaa thaa
main teri ruuh mein utraa huaa milungaa tujhe
aur is tarah ki tujhe kuchh khabar nahin honi
hanste hanste ho gayaa barbaad main
khush-dili aisi bhi hoti hai bhalaa
aaj dekhaa hai use aisi mohabbat se 'ataa'
vo yahi bhuul gayaa us ko kahin jaanaa thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai