Shayari
ek aansu se kami aa jaaegi
ghaaliban dariyaaon ke iqbaal mein
ye ek lamhe ki duuri bahut hai mere liye
tamaam umr tiraa intizaar karne ko
یہ ایک لمحے کی دوری بہت ہے میرے لیے
تمام عمر ترا انتظار کرنے کو
ये एक लम्हे की दूरी बहुत है मेरे लिए
तमाम उम्र तिरा इंतिज़ार करने को

ek aansu se kami aa jaaegi
ghaaliban dariyaaon ke iqbaal mein
ajab safar thaa ajab-tar musaafirat meri
zamin shuru hui aur main tamaam huaa
dil se baahar aaj tak ham ne qadam rakkhaa nahin
dekhne mein zaahiraa lagte hain sailaani se ham
duniyaa mire paDos mein aabaad hai magar
meri duaa-salaam nahin us zalil se
sukh ki khaatir dukh mat bech
jaal ke pichhe jaal na Daal
gahvaara-e-safar mein khuli hai hamaari aankh
taamir apne ghar ki hui sang-e-mil se
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
is zindagi mein itni faraaghat kise nasib
itnaa na yaad aa ki tujhe bhuul jaaein ham
umr-bhar jis ke liye aankhein rahi hain farsh-e-raah
vo ajal kaa qaasid-e-farkhanda-gaam aa hi gayaa