Shayari
koi fursat se mujh ko dekhtaa aur
main apne kaam mein mashghul hotaa
main rizq-e-mohabbat huun so baTtaa huun baraabar
jitnaa bhi kisi kaa huun main utnaa huun tumhaaraa
میں رزق محبت ہوں سو بٹتا ہوں برابر
جتنا بھی کسی کا ہوں میں اتنا ہوں تمہارا
मैं रिज़्क़-ए-मोहब्बत हूँ सो बटता हूँ बराबर
जितना भी किसी का हूँ मैं उतना हूँ तुम्हारा

koi fursat se mujh ko dekhtaa aur
main apne kaam mein mashghul hotaa
vo bhi tere hain muntakhab-karda
jo tiraa intikhaab karte hain
tire pichhe musalsal bhaagne se
miri raftaar achchhi ho gai hai
ye amiri bhi hai gharibi bhi
us ke office mein job karte hain
tum to ye bataa deti ho itni huun tumhaari
main sochtaa rahtaa huun ki kitnaa huun tumhaaraa
mujh ko iflaas ke ruThe hue maathe ki qasam
bakht mein likkhi gai ne'mat-e-avval tum ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa