Shayari
khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
ab shughl hai yahi dil-e-izaa-pasand kaa
jo zakhm bhar gayaa hai nishaan us kaa dekhnaa
اب شغل ہے یہی دل ایذا پسند کا
جو زخم بھر گیا ہے نشاں اس کا دیکھنا
अब शुग़्ल है यही दिल-ए-ईज़ा-पसंद का
जो ज़ख़्म भर गया है निशाँ उस का देखना

khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saari umr haath hilaate raheinge ham
koi tasvir mukammal nahin hone paati
dhuup dete hain to saayaa nahin rahne dete
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
tire aane kaa din hai tere raste mein bichhaane ko
chamakti dhuup mein saae ikaTThe kar rahaa huun main
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi mausam bhi sazaa-vaar-e-mohabbat nahin ab
zard patton ko havaaon se shikaayat nahin ab
ishq vajh-e-zindagi bhi dushman-e-jaani bhi hai
ye nadi paayaab bhi hai aur tufaani bhi hai
kuchh yuun fanaa huaa huun mohabbat ki aag mein
duniyaa ko de chalaa huun kahaani malaal ki