Shayari
khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
rone lagtaa huun mohabbat mein to kahtaa hai koi
kyaa tire ashkon se ye jangal haraa ho jaaegaa
رونے لگتا ہوں محبت میں تو کہتا ہے کوئی
کیا ترے اشکوں سے یہ جنگل ہرا ہو جائے گا
रोने लगता हूँ मोहब्बत में तो कहता है कोई
क्या तिरे अश्कों से ये जंगल हरा हो जाएगा

khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saari umr haath hilaate raheinge ham
koi tasvir mukammal nahin hone paati
dhuup dete hain to saayaa nahin rahne dete
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
tire aane kaa din hai tere raste mein bichhaane ko
chamakti dhuup mein saae ikaTThe kar rahaa huun main
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
hotaa hai raaz-e-ishq-o-mohabbat inhin se faash
aankhein zabaan nahin hain magar be-zabaan nahin