Shayari
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
teri aankhon teri zulfon kaa gila kaise utaarun
tere honTon par safar kartaa qalam thaktaa nahin hai
تیری آنکھوں تیری زلفوں کا گلہ کیسے اتاروں
تیرے ہونٹوں پر سفر کرتا قلم تھکتا نہیں ہے
तेरी आँखों तेरी ज़ुल्फ़ों का गिला कैसे उतारूँ
तेरे होंटों पर सफ़र करता क़लम थकता नहीं है

bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
aasmaan par garajnaa baadalon kaa
tere lahje kaa istiaara hai
pyaar apni jagah par ek shikaayat hai mujhe
tum ne aane mein bahut der ki aane vaale
hatheli pe likh le miraa naam tu
lakiron mein rachnaa miraa kaam hai
meri aankhon kaa raat din ronaa
mere khvaabon ki aab-yaari hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
dekhiye kab raah par Thiik se uTThein qadam
raat ki mai kaa khumaar dekhiye kab tak rahe
jaada-e-raah-e-mohabbat ki daraazi mat puchh
manzil-e-shauq kaa har zarra bayaabaan niklaa