Shayari
lafz likhnaa hai to phir kaaghaz ki niyyat se na Dar
is qadar izhaar ki be-maanaviyyat se na Dar
paDosi piTte hain jab dariche aur darvaaze
main Thumri chheD detaa huun taraanaa chhoD detaa huun
پڑوسی پیٹتے ہیں جب دریچے اور دروازے
میں ٹھمری چھیڑ دیتا ہوں ترانا چھوڑ دیتا ہوں
पड़ोसी पीटते हैं जब दरीचे और दरवाज़े
मैं ठुमरी छेड़ देता हूँ तराना छोड़ देता हूँ

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
chaman-zaar-e-mohabbbat mein khamoshi maut hai bulbul
yahaan ki zindagi paabandi-e-rasm-e-fughaan tak hai