Shayari
takmil-e-aarzu se bhi hotaa hai gham kabhi
aisi duaa na maang jise bad-duaa kahein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
بلائے جاں تھی جو بزم تماشا چھوڑ دی میں نے
خوشا اے زندگی خوابوں کی دنیا چھوڑ دی میں نے
बला-ए-जाँ थी जो बज़्म-ए-तमाशा छोड़ दी मैं ने
ख़ुशा ऐ ज़िंदगी ख़्वाबों की दुनिया छोड़ दी मैं ने

takmil-e-aarzu se bhi hotaa hai gham kabhi
aisi duaa na maang jise bad-duaa kahein
hindu se puchhiye na musalmaan se puchhiye
insaaniyat kaa gham kisi insaan se puchhiye
ishq ke mazmun the jin mein vo risaale kyaa hue
ai kitaab-e-zindagi tere havaale kyaa hue
'sahar' ab hogaa meraa zikr bhi raushan-dimaaghon mein
mohabbat naam ki ik rasm-e-bejaa chhoD di main ne
hamein tanhaaiyon mein yuun to kyaa kyaa yaad aataa hai
magar sach puchhiye to ek chehraa yaad aataa hai
phir khule ibtidaa-e-ishq ke baab
us ne phir muskuraa ke dekh liyaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
main jiyun ehsaan biThaa kar vo bhi ik kam-zarf kaa
zindagi pyaari hai lekin is qadar pyaari nahin
ye sarguzisht-e-zamaana ye daastaan-e-hayaat
adhuri baat mein bhi rah gai kami meri
zindagi kyaa hue vo apne zamaane vaale
yaad aate hain bahut dil ko dukhaane vaale