Shayari
main to is vaaste chup huun ki tamaashaa na bane
tu samajhtaa hai mujhe tujh se gilaa kuchh bhi nahin
dil ke auraaq mein mahki hui kaliyon ki tarah
ek ik yaad tiri hasb-e-zarurat rakh li
دل کے اوراق میں مہکی ہوئی کلیوں کی طرح
ایک اک یاد تری حسب ضرورت رکھ لی
दिल के औराक़ में महकी हुई कलियों की तरह
एक इक याद तिरी हस्ब-ए-ज़रूरत रख ली

main to is vaaste chup huun ki tamaashaa na bane
tu samajhtaa hai mujhe tujh se gilaa kuchh bhi nahin
ab to haathon se lakirein bhi miTi jaati hain
us ko kho kar to mire paas rahaa kuchh bhi nahin
main ghar ko phunk rahaa thaa baDe yaqin ke saath
ki teri raah mein pahlaa qadam uThaanaa thaa
abhi safar mein koi moD hi nahin aayaa
nikal gayaa hai ye chup-chaap daastaan se kaun
muddaton mein aaj dil ne faisla aakhir diyaa
khub-surat hi sahi lekin ye duniyaa jhuuT hai
vo muskuraa ke koi baat kar rahaa thaa 'shumaar'
aur us ke lafz bhi the chaandni mein bikhre hue
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
sochtaa huun ki us ki yaad aakhir
ab kise raat bhar jagaati hai
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
rishi ke faaqon se TuuTaa na barhaman kaa tilism
asaa na ho to kalimi hai kaar-e-be-buniyaad