Shayari
main to is vaaste chup huun ki tamaashaa na bane
tu samajhtaa hai mujhe tujh se gilaa kuchh bhi nahin
muddaton mein aaj dil ne faisla aakhir diyaa
khub-surat hi sahi lekin ye duniyaa jhuuT hai
مدتوں میں آج دل نے فیصلہ آخر دیا
خوبصورت ہی سہی لیکن یہ دنیا جھوٹ ہے
मुद्दतों में आज दिल ने फ़ैसला आख़िर दिया
ख़ूब-सूरत ही सही लेकिन ये दुनिया झूट है

main to is vaaste chup huun ki tamaashaa na bane
tu samajhtaa hai mujhe tujh se gilaa kuchh bhi nahin
ab to haathon se lakirein bhi miTi jaati hain
us ko kho kar to mire paas rahaa kuchh bhi nahin
main ghar ko phunk rahaa thaa baDe yaqin ke saath
ki teri raah mein pahlaa qadam uThaanaa thaa
abhi safar mein koi moD hi nahin aayaa
nikal gayaa hai ye chup-chaap daastaan se kaun
vo muskuraa ke koi baat kar rahaa thaa 'shumaar'
aur us ke lafz bhi the chaandni mein bikhre hue
tu ne ek umr ke baa'd puchhaa hai haal-e-dil
vahi dard-o-gham vahi hasratein mire saath hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
saari khilqat raah mein hai aur ho manzil mein tum
donon aalam dil se baahar hain faqat ho dil mein tum
paamaal kar ke puchhte hain kis adaa se vo
is dil mein aag thi mire talve jhulas gae
hue na aaj talak ham shumaar zindon mein
har ik libaas badan kaa badal ke dekh liyaa
mujh se kaafir ko tire ishq ne yuun sharmaayaa
dil tujhe dekh ke dhaDkaa to khudaa yaad aaya