Shayari
ehsaas-e-tishnagi na thaa sahraa mein kuchh magar
lab khushk ho rahe hain samundar ko dekh kar
'ishq mein koi bhi sarhad hamein manzur nahin
'ishq sarhad ke to us paar bhi ho saktaa
عشق میں کوئی بھی سرحد ہمیں منظور نہیں
عشق سرحد کے تو اس پار بھی ہو سکتا
'इश्क़ में कोई भी सरहद हमें मंज़ूर नहीं
'इश्क़ सरहद के तो उस पार भी हो सकता

ehsaas-e-tishnagi na thaa sahraa mein kuchh magar
lab khushk ho rahe hain samundar ko dekh kar
hijr kaa maaraa huun Table par yahi sab paaoge
adh-likhe khat bikhraa album aur khaali botalein
jin ke daaman mein mere khuun ke chhinTe the 'asar'
ab vo shaffaaf libaason mein nazar aate hain
us be-khabar ki niind kaa 'aalam na puchhiye
takiya kahin hai zulf kahin aur kahin badan
talkhi ke saath kiije na tark-e-ta'alluqaat
chubhtaa rahegaa varna ye lahja tamaam 'umr
jo pahle aankh se ojhal huaa thaa
vo ab dil se bhi rukhsat ho rahaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
ab shughl hai yahi dil-e-izaa-pasand kaa
jo zakhm bhar gayaa hai nishaan us kaa dekhnaa
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
main sab kaa sab mohabbat ke liye huun
so laa-mahdud muddat ke liye huun