Shayari
dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
main sab kaa sab mohabbat ke liye huun
so laa-mahdud muddat ke liye huun
میں سب کا سب محبت کے لیے ہوں
سو لا محدود مدت کے لیے ہوں
मैं सब का सब मोहब्बत के लिए हूँ
सो ला-महदूद मुद्दत के लिए हूँ

dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
kaisi hoti hain udaasi ki jaDein
aa dikhaaun tujhe dil ke reshe
kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti
har ek shai ko dobaara badal ke dekhtaa huun
Thiik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayaam kiyaa
barham hain mujh pe is liye donon taraf ke log
divaar uTh gai thi to dar kyuun banaayaa hai
patthar mein kaun jonk lagaaegaa mere dost
dil hai to mubtalaa bhi kahin honaa chaahiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
the bayaabaan-e-mohabbat mein jo giryaan aah ham
manzil-e-maqsud ko pahunche tari ki raah ham
kuchh mohabbat ko na thaa chain se rakhnaa manzur
aur kuchh un ki inaayaat ne jiine na diyaa
marnaa to bahut sahal si ik baat lage hai
jiinaa hi mohabbat mein karaamaat lage hai
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain