Shayari
nafrat se mohabbat ko sahaare bhi mile hain
tufaan ke daaman mein kinaare bhi mile hain
raaz-e-gham-e-ulfat ko ye duniyaa na samajh le
aansu mire daaman mein tumhaare bhi mile hain
راز غم الفت کو یہ دنیا نہ سمجھ لے
آنسو مرے دامن میں تمہارے بھی ملے ہیں
राज़-ए-ग़म-ए-उल्फ़त को ये दुनिया न समझ ले
आँसू मिरे दामन में तुम्हारे भी मिले हैं

nafrat se mohabbat ko sahaare bhi mile hain
tufaan ke daaman mein kinaare bhi mile hain
hamaari zindagi kyaa hai mohabbat hi mohabbat hai
tumhaaraa bhi yahi dastur ban jaae to achchhaa ho
zaraa parda haTaa do saamne se bijliyaan chamkein
miraa dil jalva-gaah-e-tur ban jaae to achchhaa ho
vo to thaa aadmi ki tarah 'zahir'
us kaa chehra farishton jaisaa thaa
miraa khun-e-jigar pur-nur ban jaae to achchhaa ho
tumhaari maang kaa sindur ban jaane to achchhaa ho
kaan sunte to hain lekin na samajhne ke liye
koi samjhaa bhi to mafhum nayaa maange hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main bhi tanhaa is taraf huun vo bhi tanhaa us taraf
main pareshaan huun to huun vo bhi pareshaani mein hai
hausle dard-bayaani ke nahin hote hain
ab yahaan lafz maaani ke nahin hote hain
sochte hain ki bari khud ko karoge kaise
ham na boleinge magar dard sunaai deinge