Shayari
taalaab iraade kaa bhare pal mein labaalab
jab yaar ke dariyaa-e-karam suun lahr aave
chaman suun dil ke aalam ko khabar nahin
hamesha dekhte khaaki badan ko
چمن سوں دل کے عالم کو خبر نہیں
ہمیشہ دیکھتے خاکی بدن کو
चमन सूँ दिल के आलम को ख़बर नहिं
हमेशा देखते ख़ाकी बदन को

taalaab iraade kaa bhare pal mein labaalab
jab yaar ke dariyaa-e-karam suun lahr aave
ishq ke kuche mein jab jaataa hai dil karne ko sair
vaan nahin maalum hotaa roz hai yaa raat hai
ajab kuchh ishq ki khush-tar hai vaadi
ki jis vaadi mein hai har vaqt shaadi
tark de islaam ko aur kufr saaraa duur kar
chhoD de hirs-o-havaa farzand aur zan bhuul jaa
yaar ke darsan ke khaatir jaan aur tan bhuul jaa
aankh munavvar dekh us kaa rang-e-gulshan bhuul jaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ab dil bhi dukhaao to aziyyat nahin hoti
hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti
ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke
ek din sun lijiye jo kuchh hamaare dil mein hai
is dil mein tire husn ki vo jalvagari hai
jo dekhe hai kahtaa hai ki shishe mein pari hai
ab dil kaa safina kyaa ubhre tufaan ki havaaein saakin hain
ab bahr se kashti kyaa khele maujon mein koi girdaab nahin