Shayari
ishq ke kuche mein jab jaataa hai dil karne ko sair
vaan nahin maalum hotaa roz hai yaa raat hai
taalaab iraade kaa bhare pal mein labaalab
jab yaar ke dariyaa-e-karam suun lahr aave
تالاب ارادے کا بھرے پل میں لبالب
جب یار کے دریائے کرم سوں لہر آوے
तालाब इरादे का भरे पल में लबालब
जब यार के दरिया-ए-करम सूँ लहर आवे

ishq ke kuche mein jab jaataa hai dil karne ko sair
vaan nahin maalum hotaa roz hai yaa raat hai
ajab kuchh ishq ki khush-tar hai vaadi
ki jis vaadi mein hai har vaqt shaadi
chaman suun dil ke aalam ko khabar nahin
hamesha dekhte khaaki badan ko
tark de islaam ko aur kufr saaraa duur kar
chhoD de hirs-o-havaa farzand aur zan bhuul jaa
yaar ke darsan ke khaatir jaan aur tan bhuul jaa
aankh munavvar dekh us kaa rang-e-gulshan bhuul jaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yak qadam raah-e-dost hai 'daaud'
lekin afsos paa-e-bakht hai lang
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
log logon se dosti kar ke
kitnaa saste mein bech dete hain