Shayari
bikhar ke chhuT na jaaun tiri giraft se main
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-khush-adaa le jaa
ek aavaaz ne toDi hai khamoshi meri
DhunDhtaa huun to pas-e-saahil-e-shab kuchh bhi nahin
ایک آواز نے توڑی ہے خموشی میری
ڈھونڈھتا ہوں تو پس ساحل شب کچھ بھی نہیں
एक आवाज़ ने तोड़ी है ख़मोशी मेरी
ढूँढता हूँ तो पस-ए-साहिल-ए-शब कुछ भी नहीं

bikhar ke chhuT na jaaun tiri giraft se main
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-khush-adaa le jaa
sadaaon ke jangal mein vo khaamushi hai
ki main ne har aavaaz teri suni hai
koi patthar kaa nishaan rakh ke judaa hon ham tum
jaane ye peD kis aandhi mein ukhaD jaaegaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
siyaahi pherti jaati hain raatein bahr o bar pe
inhi taarikiyon se mujh ko bhi hissa milegaa
har kone se teri khushbu aaegi
har sanduq mein tere kapDe nikleinge
raat bhar buniyaad ghar ki siskiyaan leti rahi
koi to royaa hai is divaar se lag kar bahut