Shayari
in gali kuchon mein bahnon kaa muhaafiz kaun hai
kasb-e-zar ki dauD mein basti se maan-jaae gae
'itr faroshon ke kuche mein ek shanaasaa khushbu ne
meraa daaman thaam liyaa thaa itni der zarur hui
عطر فروشوں کے کوچے میں ایک شناسا خوشبو نے
میرا دامن تھام لیا تھا اتنی دیر ضرور ہوئی
'इत्र फ़रोशों के कूचे में एक शनासा ख़ुशबू ने
मेरा दामन थाम लिया था इतनी देर ज़रूर हुई

in gali kuchon mein bahnon kaa muhaafiz kaun hai
kasb-e-zar ki dauD mein basti se maan-jaae gae
pahunchi dilon ki aag hamaare khiyaam tak
lekin dhuaan to jaaegaa darbaar-e-shaam tak
ek kuein ki gahraai se misr ke takht-e-shaahi tak
dekhne vaali aankh ko kitne naadida baazaar mile
avval avval 'ilm faqat ik nuqta thaa
aakhir aakhir jehl banaa taavilon se
bichhDe the to saakit palkein sukhe peD ki shaakhein thiin
us se bichhaD kar duur chale to koson tak sailaab rahaa
kar rahe hain zindagi mein maa'naviyyat ki talaash
khvaab mein Duubaa huaa taalaab sahraa aur main
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
ghairon se to fursat tumhein din raat nahin hai
haan mere liye vaqt-e-mulaaqaat nahin hai