Shayari
kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
khushaamad ai dil-e-betaab is tasvir ki kab tak
ye bolaa chaahti hai par na bolegi na boli hai
خوشامد اے دل بے تاب اس تصویر کی کب تک
یہ بولا چاہتی ہے پر نہ بولے گی نہ بولی ہے
ख़ुशामद ऐ दिल-ए-बेताब इस तस्वीर की कब तक
ये बोला चाहती है पर न बोलेगी न बोली है

kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shaad huun ki huun to kisi ki nigaah mein
khudaa ne nek surat di to sikho nek baatein bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kyaa bad-zabaani hai
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo bhi hai ik maqaam-e-ishq jahaan
har tamannaa gunaah hoti hai
ye kah ke diyaa us ne dard-e-mohabbat
jahaan ham raheinge ye saamaan rahegaa
is se baDh kar aur kyaa hai saada-lauhi ishq ki
aap ne vaada kiyaa aur ham ko baavar ho gayaa