Shayari
kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
rahaa khvaab mein un se shab bhar visaal
mire bakht jaage main soyaa kiyaa
رہا خواب میں ان سے شب بھر وصال
مرے بخت جاگے میں سویا کیا
रहा ख़्वाब में उन से शब भर विसाल
मिरे बख़्त जागे मैं सोया किया

kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shaad huun ki huun to kisi ki nigaah mein
khudaa ne nek surat di to sikho nek baatein bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kyaa bad-zabaani hai
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
rakkhi thi tasvir tumhaari aankhon mein
ham ne saari raat guzaari aankhon mein
jab kabhi chaahaa likhun jhiil tiri aankhon ko
tairne lagte hain khushbu ke kanval kaaghaz par