Shayari
tujh ko duniyaa ke saath chalnaa hai
tu mire saath chal na paaegaa
dafnaa diyaa gayaa mujhe chaandi ki qabr mein
main jis ko chaahti thi vo laDkaa gharib thaa
دفنا دیا گیا مجھے چاندی کی قبر میں
میں جس کو چاہتی تھی وہ لڑکا غریب تھا
दफ़ना दिया गया मुझे चाँदी की क़ब्र में
मैं जिस को चाहती थी वो लड़का ग़रीब था

tujh ko duniyaa ke saath chalnaa hai
tu mire saath chal na paaegaa
milnaa thaa ittifaaq bichhaDnaa nasib thaa
vo utni duur ho gayaa jitnaa qarib thaa
kuchh din se zindagi mujhe pahchaanti nahin
yuun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin
sach baat maan lijiye chehre pe dhuul hai
ilzaam aainon pe lagaanaa fuzul hai
maan mujhe dekh ke naaraaz na ho jaae kahin
sar pe aanchal nahin hotaa hai to Dar hotaa hai
'anjum' tumhaaraa shahr jidhar hai usi taraf
ik rail jaa rahi thi ki tum yaad aa gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
chaahtaa huun phunk duun is shahr ko
shahr mein in kaa bhi ghar hai kyaa karun
kyaa koi mohabbat mein yuun bhi benaam-o-nishaan ho jaataa hai
main huun ki abhi tak zinda huun duniyaa hai ki bhuli jaati hai
idhar aa ham dikhaate hain ghazal kaa aaina tujh ko
ye kis ne kah diyaa gesu tire barham nahin pyaare