Shayari
meri nigaah-e-shauq kaa jaadu bhi kam nahin
aankhon mein aankhein Daal ke dekhaa na kijiye
tire is phuul se chehre ne ab ke
mire zakhmon ko mahkaayaa bahut hai
ترے اس پھول سے چہرے نے اب کے
مرے زخموں کو مہکایا بہت ہے
तिरे इस फूल से चेहरे ने अब के
मिरे ज़ख़्मों को महकाया बहुत है

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ai sanam tu vo kanhayyaa hai balaaein luun agar
baansuli ki tarah naalaan hon saraapaa ungliyaan
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi