Shayari
anginat safinon mein diip jagmagaate hain
raat ne luTaayaa hai rang-o-nur paani par
puchho zaraa ye kaun si duniyaa se aae hain
kuchh log kah rahe hain hamein koi gham nahin
پوچھو ذرا یہ کون سی دنیا سے آئے ہیں
کچھ لوگ کہہ رہے ہیں ہمیں کوئی غم نہیں
पूछो ज़रा ये कौन सी दुनिया से आए हैं
कुछ लोग कह रहे हैं हमें कोई ग़म नहीं

anginat safinon mein diip jagmagaate hain
raat ne luTaayaa hai rang-o-nur paani par
ab sang-baariyon kaa amal sard paD gayaa
ab us taraf bhi ranj mire TuTne kaa hai
be-sabab donon mein har ek ko dilchaspi thi
aur har ek se bezaar the ham bhi tum bhi
hamein bhi vaqt ke tufaan mil kar khaa gae aakhir
har ik kashti ko mil jaataa hai saahil ham bhi kahte the
baDi hi karbnaak thi vo pahli raat hijr ki
dobaara dil mein aisaa dard aaj tak nahin huaa
jis ko chaahaa bas usi kaa raasta takte rahe
pattharon ki justuju mein khud ko patthar kar liyaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kyaa gham jo hasraton ke diye bujh gae tamaam
daaghon se aaj ghar mein charaaghaan kareinge ham
manzar thaa raakh aur tabiat udaas thi
har-chand teri yaad mire aas paas thi
laazim kahaan ki saaraa jahaan khush-libaas ho
mailaa badan pahan ke na itnaa udaas ho