Shayari
khud-bakhud chhoD gae hain to chalo Thiik huaa
itne ahbaab kahaan ham se sanbhaale jaate
raasta saaf nazar aataa hai raahi to nahin
kuchh kaho raah-e-mohabbat mein tabaahi to nahin
راستہ صاف نظر آتا ہے راہی تو نہیں
کچھ کہو راہ محبت میں تباہی تو نہیں
रास्ता साफ़ नज़र आता है राही तो नहीं
कुछ कहो राह-ए-मोहब्बत में तबाही तो नहीं

khud-bakhud chhoD gae hain to chalo Thiik huaa
itne ahbaab kahaan ham se sanbhaale jaate
nit-nayaa tu ne zamaane mein kharidaa badlaa
tere kahne pe kahaan ham ne aqida badlaa
umr-bhar maan ki nasihat pe zamaane mein 'asad'
faatima-zehraa ke bachchon se vafaadaari ki
is mohabbat ne hamein joD diyaa aapas mein
varna ham donon kaa ik jaisaa aqida to na thaa
koi to dekhe miri bebasi mohabbat mein
main aap apni jahaan mein hansi uDaataa phirun
guzar na jaae ye mausam basant kaa mausam
banafsha phuul khile har taraf zamin ke liye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bas ab mohabbat se haath uThaao bhale ko kahte hain maan jaao
na aap ko is tarah miTaao 'jalil' dekho to haal kyaa hai
ishq bahrup thaa jo chashm o dil o sar mein rahaa
kahin hairat kahin vahshat kahin saudaa ban kar
zaahid ki tarah khushk musalmaan nahin 'jalil'
ishq-e-butaan bhi dil mein hai yaad-e-khudaa bhi hai