Shayari
jise kabhi sar-e-mimbar na kah sakaa vaaiz
vo baat ahl-e-junun zer-e-daar kahte hain
A
Asghar Saleemis ek baat se gulchin kaa dil dhaDaktaa hai
ki ham sabaa se hadis-e-bahaar kahte hain
اس ایک بات سے گلچیں کا دل دھڑکتا ہے
کہ ہم صبا سے حدیث بہار کہتے ہیں
इस एक बात से गुलचीं का दिल धड़कता है
कि हम सबा से हदीस-ए-बहार कहते हैं
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
kuchh is tarah se luTi hai mataa-e-dida-o-dil
ki ab kisi se bhi zikr-e-vafaa nahin karte
thaa mast baandhne mein vo tamhid-e-zakhm-e-dil
siine ke ik shigaaf pe ungli dhare hue
saari duniyaa se alag vahshat-e-dil hai apni
ye ki lagti hai na ghar ki na bayaabaan vaali