Shayari
jise kabhi sar-e-mimbar na kah sakaa vaaiz
vo baat ahl-e-junun zer-e-daar kahte hain
A
Asghar Saleemghubaar saa hai sar-e-shaakh-saar kahte hain
chalaa hai qaafila-e-nau-bahaar kahte hain
غبار سا ہے سر شاخسار کہتے ہیں
چلا ہے قافلۂ نوبہار کہتے ہیں
ग़ुबार सा है सर-ए-शाख़-सार कहते हैं
चला है क़ाफ़िला-ए-नौ-बहार कहते हैं
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
miri majburiyon ne naazuki kaa khuun kar Daalaa
har ik gobhi-badan ko gul-badan likhnaa paDaa mujh ko
main duur thaa to apne hi chehre pe mal liyaa
is zindagi ke haath mein jitnaa gulaal thaa
jashn-e-bahaar-e-nau hai nasheman ki khair ho
uTThaa hai kyuun chaman mein dhuaan raushni ke saath