Shayari
un ke haathon se milaa thaa pi liyaa
zahr thaa par zaaiqa achchhaa lagaa
zindagi se samjhautaa aaj ho gayaa kaise
roz roz to aise saanehe nahin hote
زندگی سے سمجھوتا آج ہو گیا کیسے
روز روز تو ایسے سانحے نہیں ہوتے
ज़िंदगी से समझौता आज हो गया कैसे
रोज़ रोज़ तो ऐसे सानेहे नहीं होते

un ke haathon se milaa thaa pi liyaa
zahr thaa par zaaiqa achchhaa lagaa
tire mahal mein hazaaron charaagh jalte hain
ye meraa ghar hai yahaan dil ke daagh jalte hain
shikaar apni anaa kaa hai aaj kaa insaan
jise bhi dekhiye tanhaa dikhaai detaa hai
log achchhon ko bhi kis dil se buraa kahte hain
ham ko kahne mein buron ko bhi buraa lagtaa hai
duniyaa se khatm ho gayaa insaan kaa vajud
rahnaa paDaa hai ham ko darindon ke darmiyaan
raushni jab se mujhe chhoD gai
shama roti hai sirhaane mere
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
adaa huaa na qarz aur vajud khatm ho gayaa
main zindagi kaa dete dete suud khatm ho gayaa
maut kahte hain jis ko ai 'saaghar'
zindagi ki koi kaDi hogi
nashsha thaa zindagi kaa sharaabon se tez-tar
ham gir paDe to maut uThaa le gai hamein