Shayari
'aslam' baDe vaqaar se degrē vasul ki
aur is ke baa'd shahr mein khvaancha lagaa liyaa
eid kaa din hai so kamre mein paDaa huun 'aslam'
apne darvaaze ko baahar se muqaffal kar ke
عید کا دن ہے سو کمرے میں پڑا ہوں اسلمؔ
اپنے دروازے کو باہر سے مقفل کر کے
ईद का दिन है सो कमरे में पड़ा हूँ 'असलम'
अपने दरवाज़े को बाहर से मुक़फ़्फ़ल कर के

'aslam' baDe vaqaar se degrē vasul ki
aur is ke baa'd shahr mein khvaancha lagaa liyaa
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
shahr mein aa kar paDhne vaale bhuul gae
kis ki maan ne kitnaa zevar bechaa thaa
hamaari jiit hui hai ki donon haare hain
bichhaD ke ham ne kai raat din guzaare hain
qarib aa ke bhi ik shakhs ho sakaa na miraa
yahi hai meri haqiqat yahi fasaana miraa
jab main us ke gaanv se baahar niklaa thaa
har raste ne meraa rasta rokaa thaa
itne mein aur charkh ne miTTi palid ki
bachche ne muskuraa ke khabar di jo iid ki
haalaat 'shahaab' aankh uThaane nahin dete
bachchon ko magar iid manaane ki paDi hai
jab aayaa iid kaa din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phuul se bachchon ne mujh ko gher liyaa
eid kaa chaand jo dekhaa to tamannaa lipTi
un se taqrib-e-mulaaqaat kaa rishta niklaa
mujh ko to iid mein bhi faraaghat kahaan mili
laDti rahi hai saas savere se shaam tak
ham se bichhDe hain kai log hamaare apne
ham ne har 'iid pe qurbaan kiyaa hai kuchh kuchh