Shayari
tu hi vo phuul hai jo hai mahbub
patte patte kaa Daali Daali kaa
phuul khulte hi titli bhi aai
kyaa koi dosti puraani hai
پھول کھلتے ہی تتلی بھی آئی
کیا کوئی دوستی پرانی ہے
फूल खुलते ही तितली भी आई
क्या कोई दोस्ती पुरानी है

tu hi vo phuul hai jo hai mahbub
patte patte kaa Daali Daali kaa
nang hai raaz-e-mohabbat kaa numaayaan honaa
mar bhi jaaun main agar tum na pareshaan honaa
rahmat-e-haq ko na kar maayus apne feal se
vo bhalaai mein nahin jo hai buraai mein mazaa
ham dil fidaa karein ki tasadduq-e-jigar karein
jo bhi kahein huzur vahi umr bhar karein
matlab kaa zamaana hai 'naadir' koi kyaa degaa
mujh sokhta-e-qismat ko degaa to khudaa degaa
bhare rahte hain ashk aankhon mein har dam
miri har saans mein ab gham ki bu hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
na haraam achchhaa hai yaaro na halaal achchhaa hai
khaa ke pach jaae jo ham ko vahi maal achchhaa hai
sab kuchh paDhaayaa ham ko murdarris ne ishq ke
miltaa hai jis se yaar na aisi paDhaai baat