Shayari
girti hui divaar kaa saaya thaa tiraa saath
phir bhi tiri baahon se judaa the to hamin the
A
Athar Razyuun tasavvur mein dabe paanv tiri yaad aai
jis tarah shaam ki baanhon mein sitaare aae
یوں تصور میں دبے پاؤں تری یاد آئی
جس طرح شام کی بانہوں میں ستارے آئے
यूँ तसव्वुर में दबे पाँव तिरी याद आई
जिस तरह शाम की बाँहों में सितारे आए
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
jaate hue kamre ki kisi chiiz ko chhu de
main yaad karungaa ki tire haath lage the
main jab bhuke parinde dekhtaa huun apne aangan mein
mujhe apne vatan ke nange bachche yaad aate hain
nahin hai jis kaa hal ab to koi 'nadim' bas ik sivaa tumhaare
main ek aisaa hi masala huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa
ai mire dost mire saath tiri yaadon ki
ret itni hai huaa jaataa hai sahraa chehra