Shayari
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
chal su-e-gor-e-garibaan ai haris-e-maal-o-zar
dekh kitni aarzuein nazr-e-madfan ho gaiin
چل سوئے گور غریباں اے حریص مال و زر
دیکھ کتنی آرزوئیں نذر مدفن ہو گئیں
चल सू-ए-गोर-ए-ग़रीबाँ ऐ हरीस-ए-माल-ओ-ज़र
देख कितनी आरज़ूएँ नज़्र-ए-मदफ़न हो गईं

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe