Shayari
aasmaan ek sulagtaa huaa sahraa hai jahaan
DhunDhtaa phirtaa hai khud apnaa hi saayaa suraj
aaj aaine mein khud ko dekh kar yaad aa gayaa
ek muddat ho gai jis shakhs ko dekhe hue
آج آئینے میں خود کو دیکھ کر یاد آ گیا
ایک مدت ہو گئی جس شخص کو دیکھے ہوئے
आज आईने में ख़ुद को देख कर याद आ गया
एक मुद्दत हो गई जिस शख़्स को देखे हुए

aasmaan ek sulagtaa huaa sahraa hai jahaan
DhunDhtaa phirtaa hai khud apnaa hi saayaa suraj
kise milti najaat 'aazaad' hasti ke masaail se
ki har koi muqayyad aab o gil ke silsilon kaa thaa
dekhne vaale mujhe meri nazar se dekh le
main tiri nazron mein huun aur main hi har manzar mein huun
ek vo hain ki jinhein apni khushi le Duubi
ek ham hain ki jinhein gham ne ubharne na diyaa
raushni phaili to sab kaa rang kaalaa ho gayaa
kuchh diye aise jale har-su andheraa ho gayaa
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhi guzre the
us pe taa-umr kisi ko bhi guzarne na diyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein