Shayari
ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
vo jis ke sehn mein koi gulaab khil na sakaa
tamaam shahr ke bachchon se pyaar kartaa thaa
وہ جس کے صحن میں کوئی گلاب کھل نہ سکا
تمام شہر کے بچوں سے پیار کرتا تھا
वो जिस के सेहन में कोई गुलाब खिल न सका
तमाम शहर के बच्चों से प्यार करता था

ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
shikastagi mein bhi kyaa shaan hai imaarat ki
ki dekhne ko ise sar uThaanaa paDtaa hai
raasto kyaa hue vo log ki aate-jaate
mere aadaab pe kahte the ki jiite rahiye
kisi ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThaanaa paDtaa hai
javaanon mein tasaadum kaise ruktaa
qabile mein koi buDhaa nahin thaa
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
main jaagtaa huun tiraa khvaab dekhne ke liye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yahi insaaf tire ahd mein hai ai shah-e-husn
vaajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgaar hain sab
chheDaa agar mire dil-e-naalaan ko aap ne
phir bhuul jaaiyegaa bajaanaa sitaar kaa
kaabe se khinch laayaa ham ko sanam-kade mein
ban kar kamand-e-ulfat zunnaar barhaman kaa